computer ka istemaal to aaj
kal bohat aam hai aur Pakistan jaisay malik mein bhi karorron afraad usay roz
marrah ke kamon ke liye istemaal karte hain .
taham agar aap ke disktop computer ka mouse kharab hojaye to sirf key board se usay sanbhaalna kaafi mushkil hojata hai .
to agar aap ko yeh chand key board shortcuts maloom ho to aap internet aur deegar kamon ko mehez apni unglio ki madad se bhi kar saktay hain .1)bookmark add karna
apni kisi pasandeeda Website ka page mehfooz karna ho to mouse ko harkat dainay ki bajaye key board par bas ctrl + d daba den aur bas .2)hamesha ke liye delete karna
jab aap kisi file ko hamesha ke liye computer system se bahar karna chahtay ho yani recycle ban mein jaye baghair gayab kar dena chahtay ho to shift + delete click karen .
3)browser band karna
agar to daftar mein game khail rahay aur boss aajay ya kisi bhi wajah se dosaron ki nazar se apni web sar garmion ko bachana chahtay ho to alt + f4 aap ke kaam aeye ga .
4)desktop lana
agar to aap ne computer par bohat ziyada windows khol rakhi ho aur fori tor par disktop par rasai chahtay ho to window key + d se aisa mumkin hai .
5)file ya folders ki talaash
kisi aik file ke liye tamam folders mein search karne ki zahmat mein nah parrin balkay window key + f ke short kat ko istemaal karkay bhi aisa mumkin hai .6)zoom level badalna
agar kisi web ya kisi aur programme mein kaam karte hue is mein zaum in ya out karne ki zaroorat ho to ctrl + scroll mouse wheel ko istemaal karen .
7)browser mein band hojane walay tab ko re open karna
kya aap ne ghalti se kisi aisi browser tab ko band kardiya hai jis ko aap dekh rahay they aur is ki dobarah talaash kaafi mushkil hai? to is page ko reopen karne ke liye ctrl + shift + t ko aazma kar dekhen .
8)khulay hue programs mein switch karna
yeh shortcut lag bhag sab ko hi maloom hoga yani alt + tab ki madad se aik se doosri window par jaya ja sakta hai taham windows seven mein window key + tab ke zariye bhi yeh kaam kya ja sakta hai .
9)screen shot len
screen par mojood kisi bhi cheez ki fori tasweer ya screen shot ke liye print screen ke button ko daba den yeh shortcut un web pages ke liye kaar amad hai jahan copy aur paste ki ijazat nahi hoti .10)web page ko refresh karna
aap ko kisi taaza up date ke baray mein janna hai to screen ko refresh karne ke liye f5 ya ctrl + r se usay refresh karlen .
11)browser page ko back karna
browser par aap ne pehlay Google ko open kya aur phir is ki jagah Facebook khol li magar ab wapas Google par jana chahtay hain to alt +? madadgaar saabit hoga .
12)spelling ya grammer check karna
behtareen spelling aur grammer ko yakeeni bananay ke liye f7 ka button madadgaar saabit hota hai .
13)http : / / www ka izafah karna
web browser par bas Website ka naam likhain jaisay Google aur phir ctrl + enter dbayin, http : / / www aur. com khud hi shaamil ho jaien ge .
14)address baar par jana
agar mouse kaam nahi kar raha aur fori tor par koi naya web link browser par daalna chahtay hain to ctrl + l ya f6 ki madad len
0 comments:
Post a Comment